How to stop villagers from despawning from village
Villagers |
Hi everyone aap sabhi ka welcome hai hamare ek New Blog par.
Jesa ki aap sabhi jante ho ki me is Blog Par aap sabhi ko Minecraft ke knowledge deta hun to Aaj bhi ham bat Karenge Minecraft ke bare me.
Mere Blog par aap sabhi ko best Minecraft Shader , mods , addon , mil jayenge aur saath me sabhi tools and block , Mobs , ki knowledge mil jayegi
Today's Topic.
Aaj ham baat Karenge ki minecraft me ek problem jo almost sabhi log face karte hai.
Vo hai Villagers despawn ho jate hai.
Esa kyu hota hai aur aap ise kese Stop kar skte ho aaj isi ke bare me bat karenge.
To suru karte hai aaj ka blog.
Old minecraft version me villagers bahut hi simple hote the but new version me Villagers ko advance kar diya gya hai ab minecraft me bahut type ke villagers mil jayega AAP ko.
Armorer
Butcher
Cartographer
Cleric
Farmer
Fisherman
Fletcher
Leatherworker
Librarian
Mason
Nitwit
Shepherd
TOOLSMITH
Unemployment
WEAPONSMITH
MINECRAFT me itne tarah ke Villagers paye jate hai.
Ab bat karte hai Minecraft me Villagers despawn kyu ho jate hai
Aap sabhi ko pata hoga ki Minecraft me Villagers ko job Deni hoti hai. Isse villagers work kar skte hai.
Lekin agar aapko villagers ko despawn hone se rokna hai to aap ko unke pas bed 🛌 rkhna hoga.
Villagers ke pas jab bed nahi hota hai jab ye log despawn ho jate hai
Is liye aap ko Villagers ke pas bed rkhna chahiye taaki ve log despawn na vo
Aap ko lagta hoga ki villagers job nahi dete hai to despawn ho jate hai lekin job se villagers despawn nahi hota hai bed se hota hai
Job to villagers ko work karne ke liye di jati hai taki ve log apna kaam karte rahe.
Is liye aap ko bed rkhna chahiye aur main thing
Jitne villagers ho utne hi bed 🛌 rkhna important hai.
Suppose that aap ke pas 10 villagers ho to aap ko bed bhi 10 hi rkhne Honge.
Agar aap ne 9 bed rakh diye to 1 villagers kuch Time bad despawn ho jayega.
Bed kisi bhi colour ka rkh skte ho.
Aur kisi bhi tarah se rkh skte ho.
Ab ek aur problem hoti hai Villagers se related ki jab night hoti hai to aap ka koi ek ya do villagers sote nahi hai Aur vo log bas ese hi rehte hai.
Aur kuch Time me be log despawn ho jate hai.
Aur aap ko samjh me nahi aata hai ki esa kyu hota hai
Esa is liye hota hai ki jab aap kisi Village se villagers ko late ho to jis villager ki aap late ho vo kisi bed se connect hota hai vo bed Village me hota hai.
Is liye vo villager sleep nahi karta hai.
Iske liye aap ko us bed ko thod dena h jo bed villagers se connect tha aur uske bad aap us Villager ke pas ek bed rkh de to vo us bed 🛌 se connect ho jayega.
Ye simple hai aap easily kar shte ho.
I hope aap log samjh gaye honge ki Villagers despawn kyu ho jate hai.
Please comment jarur kare aur mujhe bataye ki ye Post AAP ko kesi lagi
Thanks for Reading my Post ✍️
Don't Spam in Comment Box